Friday, April 1, 2011

Sheeshon ka Maseeha Koyee Nahin - Faiz Ahmed Faiz

Recent recital of Faiz's beautiful nazm by Tina Sani:


Please wait for a few seconds for the player to load. Then click play above to listen.
It is part of the new CD entitled Bahar Aayi. Please buy it before it goes out of stock
(it is not a sufiana kalam of course)


Moti ho ki sheesha jaam ke dur
jo toot gaya so toot gaya
Kab ashkon se jurd sakta hai
jo toot gaya, so chhoot gaya

Tum nahak sheeshay chun chun kar
daaman mein chhupaye baithey ho
Sheeshon ka maseeha koyee nahiin
kya aas lagaye baithey ho

Shayad ki inhii tukrdon mein kahiin
wo sagar-e-dil hai, jis mein kabhi
Sad naaz se utra karti thi
Sahba-e-gham-e-jaanaan ki pari

Phir duniya walon ne tum se
Ye sagar le kar phod diya
Jo maye thi baha di mitti mein
Mehmaan ka shah par tod diya

Ye rangiin reze hain shayed
un shokh biloori sapnon ke
Tum mast jawani mein jin se
Khilwat (akailapan) ko sajaya kartey the

naadaari , dafter, bhookh aur gham
un sapnon se takratey rahe
be-reham tha chau-mukh pathraav
yeh kanch ke dhanchey kya kartey?

Ya shayad in zarron mein kahin
moti hai tumhari izzat ka
woh jiss se tumharey ijz ke bhi
shamshad qadon nein rashk kiya

iss maal ki dhun mein phirtey the
tajer bhi bohat rehzun bhi kayee
ai chor-nagar ya muflis ki
gar jaan bachi to aan gayee

ye sagar sheeshe, laal-o-guhar
saalim hon to qeemat paate hain
yun tukrde tukrde hon to faqat
chubhte hain, lahoo rulwaate hain

yaadon ke girebaanon ke rafoo
par dil ko guzar kab hoti hai ?
ik bakhiya udheyrda, ek siya
yun umr basar kab hoti hai ?

iss kargahey hasti mein jahan
ye sagar sheeshay dhaltey hein
har shae ka badal mil sakta hai
sab daaman pur ho saktey hein

Jo haath bardhey yawar hai yehan
jo aankh uthhey woh bakhtawar
yaan dhan daulat ka ant nahin
honn ghaat mein daaku lakh magar

kab loot jhapat se hasti ki
dukaanein khaali hoti hein
yaan parbat parbat heerey hein
yaan saaghar saghar moti hein

Kuchh log hein jo iss daulat par
Pardey latkaatey phirte hein
Har parbet ko, har saghar ko
Neelam chardhaatey phirtey hein

Kuchh woh bhi hein jo ladh bhird kar
ye pardey noch giraate hein
Hasti ke uttthai giron ki
har chal uljhaaye jatey hein

In donon mein ran pardta hai
Nit basti basti, nagar nagar
Har basti ghar ke seene mein
Har chalti rah ke maathe par

Ye kalak bhartey phirte hein
Woh jot jagate rehte hein
Ye aag lagatey phirtey hein
Woh aag bujhate rehtey hein

Sab saaghar sheeshay laal o guhar
iss baazi mein bid jaate hein
Uttho sab khaali haathon ko
is rung se bulawe aate hein

---------------
Faiz Ahmed Faiz


No comments:

Post a Comment