Saturday, March 10, 2012

Kaho kya khayal hai - A Pakistan & India collaboration

A Pakistan and India collaboration: by Zeb & Haniya and Shantanu Moitra & Swanand Kirkire




Deeshab ke tu az mehr ba baam, aamad a boodi

Dhadkano ki taal baaje, Saanson ka ek tara
Aangan mein sajaye baithein, Sooraj, chanda, taara

Chalo baant lein hum zindagi, Zara aaj yun kar lein
Kaho kya khayal hai

Ik jahan chota sa apna, Ik jahan tumhara
Muskaan chahe meethi ho, Ya aansoon ek khara

Chalo baant lein ghum aur khushi, Thodi guftagoo kar lein
Kaho kya khayaal hai

Aap se do baat kar lein, Yaadon ko jebon mein bhar lein
Aaye hain hum kuch dino ke baad, Yaaron ki saubat mein aake

Dheere se kuch gunguna ke, Yunhi kat jaate hain din aur raat
Muthi mein tum bheench lana sawan hara, Ek dhanak tum bhi tod lana falak se zara

Muthi muthi baant lenge kiranon ka katra,
Ik sikka dhoop humse lena gar kam laga

Betuk hi, Be matlab hans le hum
Kyun na is lamhe mein, Han jee lein hum

Chalo baant lein ghum aur khushi, Thodi guftagoo kar lein
Kaho kya khayaal hai

credit: Youtube user Yasinaly

No comments:

Post a Comment