Wednesday, July 11, 2012

Hairat-e-ishq nahin - Jigar Muradabadi


Recital: Ustad Bahauddin Qawwal


Jigar Muradabadi
Hairat-e-ishq nahin, shauq junoonposh nahin
Be-hijaban na chale aao mujhe hosh nahin.....

Rind jo mujh ko samajhte hain, unhein hosh nahin
Maikada saaz hoon main maikada bardosh nahin

Kah gai kaan mein aa kar tere daaman ki hawa
Sahib-e-hosh wohi hai, ke jise hosh nahin

Kabhi un mad-bhari aankhon se piya tha ek jaam
Aaj tak hosh nahin, hosh nahin, hosh nahin

Mehw-e-tasbeeh hi to sab hain magar idraaq kahaan
Zindagi khud hi ibaadat hai magar hosh nahin

Mil ke jis din se gaya hai koi ik baar 'jigar'
Mujh ko ye waham hai jaise mera aagosh nahin 



~ Jigar Muradabadi (1890–1960)

3 comments: