Thursday, August 2, 2012

Yaad Ne Teri Kiya Khud Se Faramosh Mujhe - Bedam Shah Warsi RA

Surely this has got to be one of the all time best qawwal parties. I wish they had a larger audience of listeners who would encourage them and appreciate their classical style of recital. 
Nonetheless they will certainly go down in history as amongst the greats. Around the 12:30
mark the gayeki becomes sublime. Please do not miss the use of the sarangi on the extreme right.

Recital: Ameer Rafiq Murkeyan Wale
Kalam: Hazrat Bedam Shah Warsi
Credit Youtube user: Sayyan Qamar


Preamble: Daikha jo Dar-e-Yaar pe, Hangama Barpa
Jan-bazon ka jhamghat tha, dil-walon ka mela
Bedam koi, bedil koi, koi tha sissakta
Koi jigar tham ke, yun karta tha naala
--
Yaad ne teri kiya khud se faramosh mujhe
Ab to dhunde se bhi paye na mere hosh mujhe

Ab to rusvaye zamana hun, khuda khair karein
Koi aashiq mujhey kehta, koi sodayi hai

takrar: Ab to dhunde se bhi paye na mere hosh mujhe

Nigah se hi mujhe kuchh pila ke chord diya
Khudi ke hi but ne to bekhud bana ke chord diya

takrar: Ab to dhunde se bhi paye na mere hosh mujhe

Yun bulate hein mujhey koocha-e-jana wale 
Abay O idhar aa, chaak gire-baan wale

takrar: Ab to dhunde se bhi paye na mere hosh mujhe

Har lab-e-zakhm se deta hun duaen un ko
Phir bhi kehte hein wo ehsan-faramosh mujhe

takrar: Phir bhi kehte hein wo ehsan-faramosh mujhe

Aye husn-e-yaar tujh ko na ruswa karein ge ham
Mar jayen ge, na Yaar ka shikwa karein ge ham

takrar: Phir bhi kehte hein wo ehsan-faramosh mujhe

Nibha ke waqt jo tardpa to sanam rooth gaya
Khoon behta hi gaya log mananey ke liye daikho

takrar: Phir bhi kehte hein wo ehsan-faramosh mujhe

Chashm e pur aab hai, dil sham e sifat jalta hai
kya qayamat hai ke barsaat mein ghar jalta hai

takrar: Phir bhi kehte hein wo ehsan-faramosh mujhe

Dil ke jalte huwe daaghon se jala ker seena
Ham ghareebon ne adaras mein charaghan ki hai

takrar: Phir bhi kehte hein wo ehsan-faramosh mujhe

Marne ke baad mera janaza na pardhana 
Mehboob ke dar se meri mayyat na uthana

takrar: Phir bhi kehte hein wo ehsan-faramosh mujhe

Jin ki rahon mein kabhi mein ne bichhaya tha lahu
Woh ye kehte hein hamein lafz e wafa yaad nahin

takrar: Phir bhi kehte hein wo ehsan-faramosh mujhe

Os tarah tera naqab be rukh e roshan phoonka
Jis taraf jalwe tere ker gaye be-hosh mujhe

.............................................



No comments:

Post a Comment