Friday, February 14, 2014

Jahan tera naqsh-e-qadam dekhtay hain



Sudhir Narain
Jahan tera naqsh-e-qadam dekhtay hain                
khayaban khayaban iram dekhtay hain

Teray sar o qamat say ek qad e aadam
qayamat kay fitnay ko kam dekhtay hain

Tamasha! keh aey mehw e aaynadari
tujhay kis tamanna say ham dekhtay hain

Suragh e taf e nalah le dagh e dil se
ki shab ro ka naqsh e qadam daikhte hain

Bana kay faqeeron ka ham bhes Ghalib
tamasha e ahl e karam dekhtay hain

~ Mirza Asadullad Khan Ghalib

No comments:

Post a Comment