Wednesday, October 3, 2012

Na Falak Na Chand, Taray - Zaki Taji Qawwal



Na falak, na chand taray, na serh, na raat hoti
Zaki Taji Qawwal
na tera jamal hota, na ye kayenaat hoti

mein tumhara aayena tha, mein tumhara aayina hun
mujhay daikh ker sanvartay, to kuchh aur baat hoti

ye khulay khulay se gaesu, inhein laakh tum sanvaaro
merey haath se sanvartay, to kuchh aur baat hoti

ye majaal bijliyon ki,  mere ashiyaan ko phoonkein
mere par na tum katartay, to kuchh aur baat hoti

go haram ke rastay se bhi ponhonch gaye khuda tak
teri rehguzar se jaatey, to kuchh aur baat hoti

mujhay apni moat ka to, koi gham nahin hai laikin
tere aastan pe martey to kuchh aur baat hoti

sar e raah rok ker unhein, dil mein sochta hun
ye qadam jo khud thehertey, to kuchh aur baat hoti

No comments:

Post a Comment