Tuesday, October 30, 2012

Raat bhar deeda-e-nam naak ~ Makhdoom Mohiuddin




 Raat bhar deeda-e-nam naak mein lehraatay rahe
saans ki tarha se aap aate rahe, jaate rahe

 Khush thae hum apni tamaannaon ka, khwaab aaye ga
apna armaan barafganda naqaab aaye ga

 Nazrein niichi kiye sharmaye huwe aaye ga
kakule chehre pe bikhraye huwe aaye ga

 Aa gayee thii dil-e-muztar mein shakee-bayi si
baj rahi thi mere ghamkhaane mein shehnaayi si

 Pattiyan khaedkin to samjha ke lo aap aa hi gaye
sajday masroor ke, masjood ko ham pa hi gaye

 Shab ki jaage huwe, taaron ko bhi neend aane lagi
aap ke aane ki ik aas thi, ab jaane lagi

 Suboh ne sej se uthte huwe li angrdai
O saba tu bhee jo aayee to akaili aayee

 Mere mehboob, meri neend urdaanein waley,
 mere masjood meri rooh pe chhane waley
 Aa bhi jaa, taa ke mere sajdon ka armaan nikley,
 aa bhi jaa taa ke tere qadmon pe meri jaan nikley

 ~ Makhdoom Mohiuddin (مخدوم محی الدین)

No comments:

Post a Comment