Wednesday, August 14, 2013

Door Tak Chhaye Thae Badal Aur Kaheen Saya na Tha - Qateel Shifai


Every now and then I like to post a ghazal that simply touches me and has little to do with sufi music.

Loved this one by Qateel Shifai and sung beautifully by Radhika Chopra. Composition by Shanti Hiranand in a mix of Raag Des and Malhar.




Door tak chhayae thay baadal, or kahin sayaa na tha
Iss tarha barsaat ka mousam, kabhi aaya na tha

Kya milla aakhir tujh ko bata, saayon kay peechay bhag ker
Aye dil-e-nadaan tujh ko, hum nay samjhaya na tha

Radhika Chopra
Uff ye sannata, kay aahut tak na ho jiss mein mukhal
Zindgi mein iss qadar, hum nay sakoon paaya na tha

Khoob roye chhupp kay ghar ki, chaar deevaari mein hum
Haal-e-dil kehnay kay qabil, koi humsaaya na tha

Ho gaye qallaash jab say, aas ki doulat lutti
Paas apnay or tu, koi bhi sarmaaya na tha

Voh paighember ho kay aashiq, qatul gaah-e-shouq mein
Taaj kaanton ka kissay, duniya nay pehnaaya na tha

Ab khulla jhoonkon kay peechay, chal rahi thin aandhiyan
Ab jo manzar hay, voh pehlay tu nazar aaya na tha

Sirf khushboo ki kami thi, moasam-e-gul mein Qateel
Verna gulshan mein koi bhi phool murjhaya na tha

Iss tarha barsaat ka mousam, kabhi aaya na tha.......

~ Qateel Shifai

Composistion: Shanti Hiranand
Raag Des and Malhar

No comments:

Post a Comment