Tuesday, October 29, 2013

Maal-e-soz-e-gham haaye - Fani Badauni



Maal-e-soz-e-gham haaye! nihani dekhte jao
bhardak uthi hai shamma-e-zindagani dekhte jao

sunae jate na the tum se, mere din raat ke shikve
kafan sarkao, meri be-zubani daikhte jao

chale bhi aao wo hai qabr-e-fani dekhte jao
tum apne marne wale ke nishani dekhte jao

abhi kya hai kisi din khoon rulayega ye khamoshi
zuban-e-hal ki jadd-o-bayani dekhte jao

ghuroor-e-husn ka sadqa, koi jata hai duniya se
kisi ki khaak mein milti javani, dekhte jao

udhar munh pher kar kya zibah karte ho, idhar dekho!
meri gardan pe khanjar ki ravani dekhte jao

bahar-e-zindagi ka lutf dekha hai aur dekho ge
kisi ka aish marg-e-nagahani dekhte jao

wo utha shor-e-matam aakhari didar-e-mayyat par
ab utha chahate hain nash-e-fani dekhte jao

 ~ Fani Badauni

No comments:

Post a Comment