Saturday, November 23, 2013

Yaron Mera Shikwa hi Bhala Kijiye os se - Khwaja Meer Dard

Ustad Manzoor Ahmed Khan Niazi Qawwal was the original leader of the Qawwal Bachay gharana that migrated to Karachi from Delhi. In the early years the party consisted of vigorous stalwarts including Ustad Bahauddin Khan and Munshi Raziuddin. By the time of this recital, his primary companion was his able son Abdullah Niazi who soon after succeeded the father in leading the qawwal party. The robust voice here is that of Abdullah, however the gentler atmosphere is created more by the older voice of Manzoor saheb who keeps dropping in and leading.



Yaron mera shikwa hi bhala kijiye os se
Mazkoor kisi se ja kijiye os se

Joon joon vo rooke hein to yaheen aven hein jeenein
Bas chherdiye aur baatein suna kijiye os se

Sao baar ye hi thehr chun ki ab se na miliye
Yun bhi to nahin banti hai, kya kijiye os se

Beyzaar agar mujh se ho, mukhtar ho sahab
Dil jiss se miley apna, mila dijiye os se

Ham kehta na thae Dard, mian chord ye baatein
Paayi na saza, aur wafaa kijiye os se

~ Khwaja Meer Dard

beautiful girahs:

Bhulata laakh hun, laikin barabar yaad aate hein
Ilahi tark-e-ulfat per vo kyonker yaad aate hein

Haqeeqat khul gayi Hasrat, terey tark-e-muhabbat ki
Tujhe vo ab to pehle se bhi bardh ker yaad aate hein

Nahi aati to yaad un ki mahino tak nahin aati
Magar jab yaad aate hein, to aksar yaad aate hein
~ Moalana Hasrat Mohani
---

Ye keh ker os but-e-kaafir ne nazrein pher leen mujh se
Muhabbat kerne wala reham ke qabil nahin hota

----

Justa hai hum se dur, hamara qusoor hai
Kyon chand keh ker tujh ko falak par chardha diya
Ker ker key minnatein teri aadat bigaard di
Daanista ham ne tujh ko sitamgar bana diya

----

Ham ishq mein musarrat o gham daikhte nahin
Dil de chukey, to dil ka bharam daikhte nahin
Ponhchi hai iss maqaam pe manzil ki aarzoo
Murd ker ke bhi apna naqsh-e-qadam daikhte nahin

----


No comments:

Post a Comment