Tuesday, December 31, 2013

Vo Makkay ki galiyan, Madine ke kooche - Ustad Aziz Ahmed Khan Warsi

Kitna pyara andaaz hai aur kalam bhi khoobsoorat. Bohat aala!



Vo makkay ki galiyan, Madine ke kooche
Ustad Aziz Ahmed Khan Warsi
fiza baagh-e-jannat ki sharma rahi hai

Jo chamki thi aiman pe varq-e-tajjala
tere sabz gumbad pe lehra rahi hai, Ya Muhammad

Tarapta hai dil, khoon rotin hein aakhen
tabeeyat bohat aaj ghabra rahi hai

Ilahi Madine mein ponhcha de ham ko, ham sab ko
hamein kamli wale ki yaad aa rahi hai

Khuda ne kaha Mustafa se, Dulaare
ye mairaj ki shab hei, kyon chup ho pyare

Muhammad ne farmaya, aye mere Moala
mujhay apni ummat ki yaad aa rahi hai

Ameeron ke data, ghareebon ke waali
umeedon ki jholi hai muddat se khaali

Ghareebon ki faryaad, aye kamli wale
tere zard gumbad se takkra rahi hai

Ghareebon ke wali, na rakhein ge khali
shabab aaj aya hai, ban kar sawaali

Nawaason ka sadqa, luta hein Ahmad
ghareebon ki jholi bhari ja rahi hai

jis ne jo cheez maangi, vohi tu ne dii
dar se khaali na lauta bhikari koi






No comments:

Post a Comment