Monday, December 2, 2013

Voh Chilmun Mein Hai, Tum ho Baetab Itne - Ghulam Kibriya Abdul Rauf Qawwal

Discovered another beautiful one. No need to to describe or translate this one. 
It is fairly simple to understand and I found it quite charming. Enjoy!





Voh chilmun mein hai, tum ho baetab itne
jo chilmun uthha dee to phir kya karo ge

Tumhare dillon per achanak kisi ne
jo bijli gira di to phir kya karo ge

Unhein tum se mana muhabbat hai, laikin
bacho in haseeno ki tirchhi nazar se

Muhabbat ki shae per jafa ki chhuri bhi
tumhi per chala di to phir kya karo ge

Jawani bhi fitna fitna, adayen bhi fitna
murravvat bhi os ki, muhabbat bhi fitna

Qayamat mein os fitnagar ne nayii ik
qayamat uthha di to phir kya karo ge

Arre phir bhi ye bhi, tumhara ye alam
behekne lage lardkharane lage ho

Sharab-e-nazar jo piyalon mein os ne
zara si mila di to phir kya karo ge

Unhe tum se kitni muhabbat hai Asif
tumhari wafa per bhi naazaan hein leikin

Tumhari wafa bhi, yunhi chutkiyon mein
Uchhali urda di to phir kya karo ge

~ Ghulam Kibriya Abdul Rauf Qawwal
---------------------
with all kinds of amazing girahs.....

Uthhata hai rukh se vo niqab aahista aahista
ke doob mashriq se nikle aftaab aahista aahista

Ye achhi raazdari hai, ye achhi parda-dari hai
ke jo aa jaye un ki bazm mein deevana ho jaye abhi vo

Aag lag jaye gi pani mein, chaman jal jaye ga
Ik hangama bapa hoye ga, tum baam per hone to do

Voh huwe parda nasheen anjumanara ho ker
reh gaye ham hamatan chashm-e-tamana ho ker

Voh ye kehte hein hamari hasher samani na poonch
ham ye kehte hein tu chilmun to uthha, jo ho so ho bas

Aik muddat se tamana thi jamal-e-yaar ki
saamne aaye to daikhein ham bhi qaatil ko aaj

Abhi voh chilmun mein hai ham phir hein baechain se
aa gaye baam pe to daikh lena mehfil ka rung


No comments:

Post a Comment