Sunday, March 2, 2014

Kuchh iss ada se aaj vo pehlu nasheen rahe - Jigar Muradabadi



Kuchh is adaa se aaj wo pehlu nasheen rahe-
jab tak hamaare paas rahe, hum nahin rahe

ya rab kisi ke raaz-e mohabbat ki khair ho 
dast-e junoon rahe na rahe aasteen rahe

iieemaan-o kufr aur na duniya-o dee' rahe 
ae ishq shadabash ke tanhaa hamin rahe

dard-e gham-e firaaq ke ye sakht marhale 
hairaan hun main ke phir bhi tum itne haseen rahe

jaa aur koi zabt ki duniya talaash kar
ae ishq hum to ab tere qaabil nahin rahe

Allah re chashm-e yaar ki maujiz bayaniyaan
har ek ko hai gumaa ke mukhaatib hamin rahe

mujh ko nahin qabool do aalam ki wus'aten
qismat mein koo-e yaar ki do gaz zameen rahe

is ishq ki talaafi-e maafaat dekhna
rone ki hasratein hain jab aansu nahin rahe

~ Jigar Moradabadi


http://en.wikipedia.org/wiki/Jigar_Moradabadi 

Jigar Moradabadi (Urdu: جِگر مُرادآبادی‎), was the nom de plume of Ali Sikandar (1890–1960), one of the most famous Urdu poets of the 20th century and a celebrated Urdu ghazal writer.[1][2] He received the Sahitya Akademi Award in 1958 for his highly acclaimed poetry collection "Atish-i-Gul".[3] 

Jigar Moradabadi was born on April 6, 1890 in Moradabad, Uttar Pradesh, India. He lost his father at an early age and did not have an easy childhood. At school (madrassah) he was taught bothArabic and Persian. His poetry teacher (ustad ) in the early days was Rasa Rampuri

No comments:

Post a Comment