Sajjad Ali's modern version:
Baghon Mein Parde Jhooley
Tum bhool gaye ham ko, ham tum ko nahin bhoolay
Ye raqs sitaron ka,
Taqdeer ke maron ka, sun lo kabhi afsana
Sawan ka maheena hai,
Sajan se juda reh kar, jeena bhi kya jeena hai
Ravi ka kinara hai,
Har moaj ke honton par, afsana hamara hai
Ab aur na tarsaao,
Ya ham ko bula bhaijo, Ya aap chaley aao

Dil mein hein tamanayein
Dar hai ke kaheen ham tum,
badnaam na ho jaayen
~Chiragh Hassan Hasrat
Ghulam Ali's more traditional rendition:
No comments:
Post a Comment