Recital: Shubha Mudgal
Recital by Shubha Mudgal |
Ham jis jagah hein husn ki, manzil yahi toh hai
Khud ko na daikhna hai tujhe dekhane ki shart
Jo darmiyan hijaab hai, haayil yahi toh hai
Jo jalwagah-e-yaar hai, vo dil yahi toh hai
Har zaraa dil fareb hai, har jalwa jaan-navaz
Har gaam pe gumaah hai ke, manzil yahi toh hai
Jo jalwagah-e-yaar hai, vo dil yahi toh hai
Halki si aik mauj-e-tabassum mein beh gaya
Jo behr-e-bekanaar tha, vo dil yahi toh hai
Poetry: Hz Zaheen Shah Taji |
Ab har ada e husn pe, hota hai yeh gumaan
Jo loot le gayii hai mera dil, yahi toh hai
Jo jalwagah-e-yaar hai, vo dil yahi toh hai
Dil mujh se keh raha hai, tere dil ki baat bhi
Aayina aayine ke mukaabil, yahi toh hai
Jo jalwagah-e-yaar hai, vo dil yahi toh hai
Dono jahaan ko teri muhabbat mein bhoolna
Ik baat yaad rakhane ke qaabil, yahi toh hai
Qawwal Abdullah Manzoor Niazi |
Ae doston Zaheen ko, pehchaanta hoon mein
Sab se alag jo sab mein hai, shaamil yahi toh hai
~ Hz Zaheen Shah Taji
Recital: Qawwal Abdullah Manzoor Niazi
No comments:
Post a Comment