Thursday, November 9, 2023

Celebrating Iqbal Day - November 9

 Celebrating Iqbal Day with a wonderful rendition of Shikwa & Jawab e Shikwa 



Kyun ziyankaar banun sood-faramosh rahun

fikr-e-farda na karun mahv-e-gham-e-dosh rahun

naale bulbul ke sunun aur hamatan gosh rahun

ham-nava main bhi koi gul huun ke ḳhamosh rahun

jurataamoz meri taab-e-suḳhan hai mujh ko

shikva Allahse ḳhaakam-ba-dahan hai mujh ko

hai baja sheva-e-tasleem mein mashhur hain ham

qissa-e-dard sunate hain ki majbur hain ham

saaz ḳhamosh hain fariyaad se maamur hain ham

naala aata hai agar lab pe to maazoor hain ham

ae Khudashikva-e-arbab-e-vafa bhiī sun le

ḳhoogar-e-hamd se thoda sa gila bhi sun le

thi to maujood azal se hi teri zaat-e-qadeem

phuul tha zeb-e-chaman par na pareshaan thi shameem

shart insaaf hai ai sahib-e-altaf-e-ameem

bu-e-gul phailti kis tarah jo hoti na naseem

ham ko jameeyat-e-ḳhatir ye pareshani thi

varna ummat tire mahboob ki deevani thi

ham se pahle tha ajab tere jahan ka manzar

kaheen masjood the patthar kaheen maabood shajar

khugar-e-paikar-e-mahsoos thi insañ ki nazar

maanta phir koi an-dekhe Khudako kyunkar

tujh ko maaloom hai leta tha koi naam tira

quvvat-e-baazu-e-muslim ne kiya kaam tira

bas rahe the yaheen saljuq bhi toorani bhi

ahl-e-chin chiin mein Iranmein saasaani bhi

isi maamure mein aabaad theyunani bhi

isi duniya mein yahudi bhi the nasrani bhi

par tire naam pe talvar uthai kis ne

baat jo bigrdi hui thi vo banai kis ne

No comments: