Sunday, March 22, 2015

Ba Tufail-e-Daman-e-Murtaza - Nizami Qawwal

Hazrat Ali ki shan mein


Ba tufail-e-daman-e-Murtaza
mai bataon kia mujhe kia mila

Jo Ali milay tu Nabi milay

Jo Nabi milay tu Khuda mila

Tu kareem ibn-e-kareem hai
Tera Faiz, Faiz-e-azeem hai

Tere dar se jo bhi mila
Mere Hoslay se siva mila

Tere Naqsh-e-pa se qadam qadam
Jo maqam-e-sabr-o-raza mila

Kaheen khaak-e-ehl-e-junoon milli
Kaheen khoon-e-ehl-e-wafa mila

re: Ecstasy of Love

Mere Banne ki Baat Na Poocho - Ustad Manzoor & Abdullah Niazi Qawwal


This lovely recital by Ustad Manzoor & Abdullah Niazi was transcribed 
and eloquently translated by Musab Bin Noor upon Fatima Hamid's request. 





Tuesday, March 3, 2015

Kyon na Ashkbaar Huwa Karoon



Haji Mehboob Qawwal

Kyon na ashkbaar huwa karoon, kyon na beyqaraar raha karoon
Na qaraar aaye tere siva, to tu hi bataa ke mein kya karoon

Mere dil ko dard taa kiya, mujhe dard wala bana diya
Tere shukriya, mairey dilruba, bhala kis tarah se adaa karoon

Mein maroon to tere liye maroon, mein jiyoon to tere liye jiyoon
Tere vaaste meri maut ho, tere vaaste mein jiya karoom

Mere pyarey mujh ko tu hi bataa, ke hai baikali ka ilaaj kya
Koi aans ho to nikkal sakay, koi dard ho to davaa karoon

Mein ne ranj o gham se vudhoo kiya, mein ne kalma tera sanam pardha
Zara baith ja mere saamne, ke namaz-e-ishq adaa karoon

Tujhe fikr-e-darma hai charagar,  mujhe dard apna aziz hai
Ye nishaani di huwi Yaar ki,  bhala kaise tarah se judaa karoon

Mujhe khaadil ulti jo deed ho, to muraad dil ki naseeb ho
Kabhi sadqe jaan-e-azeen karoon, kabhi dil ko apne fida karoun

Kyon na ashkbaar huwa karoon, kyon na beyqaraar raha karoon
Na qaraar aaye tere siva, to tu hi bataa ke mein kya karoon