This is one of my favs. Therefore the repost:
"Yaar ki shakl hoon aur yaar mein fanaa hun mein, " kalaam of Hazrat Baydum Shah Warsi
Recital by Haider Hassan, the son of the great Maulvi Ahmed Hassan.
tumharey husn ko hasal ghuroor mera hai
sharab tum ho to os mein suroor mera hai
issi ko kehtey hain shayad, taaluq-e-khatir
safar pe tum ho, aur badan chur chur mera hai
Daikh le shakl meri, kiss ka aayena hoon mein
Yaar ki shakl hoon, aur Yaar mein fanaa hun mein
Apni har saans mein awaaz mein payee unki
Apni soorta mujhey soorat nazar ayee unki
Yaar ki shakl hoon, aur Yaar mein fanaa hun mein
Pehley apni shakl par, usne banaya hai mujhey
Phir meri soorat pe daikho, khudhi shaida ho gaya hai woh
Tu mujh mein baqaa hai, mein tujh mein fanaa hun
Tu mujh mein ayaan hai, mein tujh mein niha hun
Tu mujh mein khuda hai, mein teri anaa hun
Na tu hi juda hai na mein hi juda hoon
Yaar ki shakl hoon, aur Yaar mein fanaa hun mein
Pata lagaye koi, ya mere patey ka pata
Mere patey ka pata hai, hai keh lapata hoon mein
Aye jigar hai meri hasti ki haqeeqat itni
Tujh mein aabad hein sab, mein kahin abaad nahin
Mujhee ko daikhlein, bas tere daikhney waale
Tu ayina hai mera , tera aiyena hun mein
Mein mit gaya hoon to, phir kiss ka naam hai Bedam
Voh mil gaye hein to, phir kiss ko dhoondhta hoon mein
1 comment:
MASHAALLAH, JAZAKALLAH
Post a Comment