Wednesday, June 2, 2010

Nusrat's Beautiful Musings

Share
Loved the musings, especially the reflective andaaz, and the words. These are the verses read in the preamble to main kalam "bujhi hui shama" which is of course well known and you have likely heard it from NFAK before.





Raat yuuN dil meN terii khoyii hu’ii yaad aayii
Jaise viiraane meN chupke se bahaar aa jaaye
Jaise sehraaoN meN hauley se chale baad-e-nasiim
Jaise biimaar ko be-vajhe qaraar aa jaaye

Tanslation by Sarvat Rahman, from 100 Poems by Faiz Ahmed Faiz:

Last night, your long-lost memory came back to me as though
Spring stealthily should come to a forsaken wilderness
A gentle breeze its fragrance over burning deserts blow
Or, all at once be soothed somehow the sick soul’s distress.



Get this widget | Track details | eSnips Social DNA


Kitne Badal Gaye Hain Wo, Halat Ki Tarah,
Jab Bhi Mile Hain, Pehli Mulaqat Ki Tarah.

Teri Jafa Kahun, Ke Inayat kahun Issey
Gham Bhi Milla Mujhay Kisi Soaghaat Ki Tarah

Dil Mein Ghammon Ki Aag Bhardakney Lagi to Hum
Roey Hein Phut Phut Ke Barsaat Ki Tarah

Hum Kya Kisi Ke Husn Ki Sadka Utarte,
Ek Zindagi Mili Bhi To Khairaat Ki Tarah

No comments: