Tuesday, October 11, 2011

Sitaron se Aage Jehan aur bhi Hein



Sitaron se aage jehan aur bhi hein

Abhi ishq ke imtehaan aur bhi hein
Tahi zindagi se nahin ye fizayen
Yahan saikadon karwaan aur bhi hein
Khana’at na kar aalam-e-rang-o-bu par
Chaman aur bhi, aashiyaan aur bhi hein
Agar kho gaya ek nasheman to kya ghum
Maqmat-e-aah-o-fughaan aur bhi hein
Tu shaheen hai parvwaaz hai kaam tera
Tere saamne aasmaan aur bhi hein
Isi roz-o-shab main ulajh kar na rah ja
Ke tere zameen par makaan aur bhi hein
Gaye din ke tanha tha main anjuman mein
Yahaan ab mere raazdaan aur bhi hein

Translation:

Beyond the stars there are worlds more
Our quest yet has more tests to pass
This existence alone does not matter
There are boundless journeys more
Do not rest on what you have
There are paradises more to explore
Why worry if you have lost one abode
There are a million addresses to claim
You are the falcon, your passion is flight
And you have skies more to transcend
Lose not yourself in the cycle of days and nights
Within your reach are feats even more
Gone is the day when I was lonesome in the crowd
Today those who resonate my thoughts are more

Mohammed Iqbal
Naujawaan ke Naam, Bal-e-Jibraeel, 1908

No comments: