Na falak, na chand taray, na serh, na raat hoti
Zaki Taji Qawwal |
mein tumhara aayena tha, mein tumhara aayina hun
mujhay daikh ker sanvartay, to kuchh aur baat hoti
ye khulay khulay se gaesu, inhein laakh tum sanvaaro
merey haath se sanvartay, to kuchh aur baat hoti
ye majaal bijliyon ki, mere ashiyaan ko phoonkein
mere par na tum katartay, to kuchh aur baat hoti
go haram ke rastay se bhi ponhonch gaye khuda tak
teri rehguzar se jaatey, to kuchh aur baat hoti
mujhay apni moat ka to, koi gham nahin hai laikin
tere aastan pe martey to kuchh aur baat hoti
sar e raah rok ker unhein, dil mein sochta hun
ye qadam jo khud thehertey, to kuchh aur baat hoti
No comments:
Post a Comment