Sunday, April 28, 2013

Aaya na ras nala-e-dil ka asar - Iqbal Bano




Har su dikhai dete hain wo jalvagar mujhe
kya-kya fareb deti hai meri nazar mujhe

Aaya na ras nala-e-dil ka asar mujhe
ab tum mile to kuch nahi apni khabar mujhe

Dala hai bekhudi ne ajab rah par mujhe
aankhen hain aur kuchh nahi aata nazar mujhe
Karna hai aaj hazrat-e-naseh se samana
mil jaye do ghadi ko tumhari nazar mujhe

Yaksan hai husn-o-ishq ke sarmastiyon ka rang
unki khabar unhein hai na apni khabar mujhe
main dur hun to ruh-e-sukhan mujh se kis liye
tum pas ho to kyon nahi aate nazar mujhe
Dil le ke mera detey ho dag-e-jigar mujhe
ye baat bhulane ki nahi umr bhar mujhe

Love Poem: Jigar Moradabadi
Singer: Iqbal Bano



1 comment:

Unknown said...





very beautiful ghazal of Jigar in the melodious
voice of Iqbal Bano.htheysu