Monday, August 12, 2013

Kabhi Aye Haqeeqat-e-Muntazar



Kabhi Aye Haqeeqat-e-Muntazar by Rahat Fateh Ali Khan from Tasawwuf 

Kabhi aye Haqeeqat-e-muntazar, nazar aa libas-e-majaz mein
ke hazar sajde tarap rahe hain meri jabeen-e-niaz mein

For once, O awaited Reality, reveal Yourself in a form material,
For a thousand prostrations are quivering eagerly in my submissive brow  


Tu bacha bacha ke na rakh Issey, tera aaeena hai voh aaeena
ke shikast ho to aziz tar hai nigah-e-aaeena saaz mein

Do not try to protect them, your mirror is the mirror
Which would be dearer in the Maker's eye if they broken are 


Na kaheen jahan mein amaan milli, jo amaan milli to kahan milli
mere jurm-e-khana kharab ko, tere afw-e-banda nawaz mein

My dark misdeeds found no refuge in the wide world—
The only refuge they found was in Your Gracious Forgiveness 


Na voh ishq mein raheen garmiyaan, na voh husn mein raheen shaukiyan
na voh ghaznavi mein tarrap rahi, na kham hai zulf-e-zyaz mein

Neither love has that warmth, nor beauty has that humour 
Neither that restlessness in Ghaznavi nor those curls in the hair locks of Ayaz are, 

Jo mein sar basajda huwa kabhi, to zameen se aane lagi sada
tera dil to hai sanam aashna, tujhe kya miley ga namaz mein

Even as I laid down my head in prostration a cry arose from the ground:
Your heart is in materialism, no rewards for your prayers are.

~ Muhammad Iqbal


No comments: