Ye kis ne nigahon se sagar pilaye,
khudi par meri bekhudee ban ke chhaaye
Khabardar aye dil, Maqaam-e-adab hai,
kahin baadahnoshi pe dhabba na aaye.
Kayii baar ubhre, kayii baar doobe
kai baar toofan ke chakkar me aaye
Kissi ki mohabbat ne aisa duboya
bahut koshishein ki ubharne na paye
Mohabbat woh kya jiss mein khuddariyan ho
ibadat woh kya jiss mein paabandiyan ho
Hakikat mein Zahid wohi bandagi hai
jahan sar jhuke aastan jhoom jaaye
Kai baar saahil se takrai kashti
kai baar takra ke saahil pe aaye
Talash-o-talab mein woh lazzat mili hai
dua kar raha hun ke manzil na aaye.
1 comment:
Wah kya baat hai kta kalaam hai dil ko chu faya
Post a Comment