Thursday, August 7, 2014

Mirza Ghalib & Hz Shah Niaz come together

Hazrat Shah Niyaz and Mirza Ghalib are brought together here with a bang.

Farid Ayaz masterfully weaves the verses of one poet with another here in this pensive and emotion filled rendition of Ishq Mein Tere Koh-e-Gham - عشق میں تیرے كوہ غم. The preamble is Ghalib's "Aah ko Chahiye ek Umr Asar Hone Tak".

The classical style of taankari and sargam is so beautiful and touches the soul. No doubt the enthusiasm of the live audience is enhancing the whole experience as the singers feed off their reactions. Love it when Farid goes "hai" at 8.11 (shareek e gham) feeling Ghalib's melancholy and pain.



Poet: Mirza Asadullah Khan Ghalib

Aah ko chahiye ek umr asar hone tak
Kaun jiitaa hai teri zulf ke sar hone tak

The sighs of love take a lifetime to realize
Who may live that long to see its effect on you?


Aashiqi sabr talab aur tamanna betaab
Dil ka kya rang karoon khoon-e-jigar hone tak

Love demands patience and yearning restless
How do I placate my heart till my destruction?


Humne maana ke tagaaful na karoge lekin
Khaak ho jayenge hum, tumko khabar hone tak

Though I believe you may not ignore me, but
I will turn into ashes by the time you understand my plight

Gham-e-hasti ka asad kis se ho juz marg ilaaz
Shamma har rang mein jalti hai sahar hone tak

O Asad!, There is no remedy for the anguish of living save death
The candle has to burn till morning no matter what

--------------------------------------------------

Poet: Hazrat Shah Niyaz Ahmed (R.A.)(1742 - 1834)

Ishq mein tere kohe gham, sar pe liya jo ho so ho
Aish'o nishaat'e zindagi, chhord diya jo ho so ho

Mujh se mareez ko tabiib, haath too apna mat lagaa
Isko khuda pe chord de, bahr'e khuda jo ho so ho

Aql ke madrasee se uthh, ishq ke maikade mein aa
Jaam'e fanaa'o bekhudi, ab to piya jo ho so ho

Laag ki aag lagte hi panba namad ye jal gaya
Rakhte vujood-e-jaan-otan kuchh na bacha jo ho so ho

Hijr ki jo museebatein, arz kiin uske rubaru
Naaz'o adaa se muskura, kehne lagaa jo ho so ho

Hasti ke is saraab mein, raat ki raat bas rahe
Subh'e adam huaa numoo, paaon uthha jo ho so ho

Duniya ke nek'o bad se kaam, humko niyaz kuch nahin
Aap se jo guzar gaya, ussey kia jo ho so ho
-------------------------------------------------------------
Thanks to Junaid Zuberi for sharing this fabulous rendition.

3 comments:

Unknown said...

this is absolutely ecstatic. mesmerizing!

Unknown said...

What a kalam.. both of them..
No words are there to appreciate..
Thanks a lot..

Unknown said...

What a kalam.. both of them..
No words are there to appreciate..
Thanks a lot..