Monday, July 23, 2012

Zalim ke Aitbaar Mein Lazzat Hai - Shaji



Recital: Ateeq Hussain Bandanawazi Qawwal
Poetry: Shaji

 ظالم کے اعتبار میں لذت ہے کیا کروں
آنکھوں کو انتظار کی عدت ہے کیا کروں

Zalim ke aitbaar mein lazzat hai kya karoun
Ankhon ko intezaar ki aadat hai kya karoun


(Vada vo kar gaye thae ke aayen ge aik din
Iss aarzu mein saari jawani guzar gayee


Mar Gaye ham, khuli rahi aankhen
Ye tere intezar ki had thii)


Vo ja rahey hein mere tasavur mein sham e gham
Phir os ke baad subhey qayamat hai kya karoun


Ab dil mein zapt e dard ki taqat nahin rahi
Aur dard imtehaan mein, muhabbat hai kya karoun


Mun se nikal gaya tha, jafaon ka shukriya
Os din se bewafa ko shikayat hai kya karoun


Vo duniya badal na jaye, ye dar hai mujhe Shaji
Badli hui kisi ki tabeeyat hai kya karoun


Prince Moazzam Jah "Shaji"

No comments: