Thursday, May 15, 2014

Adam se laayi hai hasti mein aarzu-e-rasool - Bedam Shah Warsi

Naatiya kalam by Hazrat Bedam Shah Warsi
Qawwal: Ustad Manzoor Hussain Khan SantooAdam se laayi hai hasti mein aarzu-e-rasool
kahan kahan liye phirti hai justuju-e-rasool

Talash e naqsh e kafe paaye Mustafa ki qasam
chunein hein aankhon se zaraat-e-khaak-e-kooh-e-rasool

Balayein loon mein teri aye jazb-e-shoaq salle alla
ke aaj daman-e-dil khich raha hai soo-e-rasool

Shagufta gulshan-e-Zahra ka her gul e tar hai
kisi mein rung-e-Ali aur kisi mein bu-e-rasool

Ajab tamasha ho maidan-e-hashr mein Bedam
ke sab hon paish-e-Khuda aur mein ruh-ba-ruh-e-rasool  

~ Bedam Shah Warsi

No comments: