Thursday, September 29, 2011

Dil hi to Hai - Talat Mehmood and C H Atma

A unique mix of two kalams by Ghalib and Daagh . This is indeed a rare and beautiful treat by two famous singer. Felt like sharing with fellow music lovers:



Singers: Talat Mehmood sings Daagh and C H Atma sings Ghalib


Lyrics of the ghazal:

Dil hi to hai na sang-o-khisht dard se bhar na aye kyun
Roenge ham hazar bar koi hamein sataye kyun


Dil Hi To Hai Na Aaye Kyun Dam Hi To Hai Na Jaaye Kyun
Ham Ko Khuda Jo Sabr De Tujh Sa Haseen Banaaye Kyun

dair nahi haram nahi dar nahi astan nahi
baithe hain rahguzar pe ham gair hamein uthaye kyun


Go Nahin Bandagi Qubool Par Tera Aastaan To Hai
Qaaba-O-Dair Mein Hai Kya, Khaakh Koi Udaaye Kyun

qaid-e-hayat-o-band-e-gam asl mein donon ek hain
maut se pahle admi gam se najat paye kyun

Rone Pe Mere Woh Hanse Ranj Pe Mere Shaad Hon
Chhed Mein Kuchh To Hai Mazaa Warna Koi Sataaye Kyun

"ghalib"-e-khasta k bagair kaun se kam band hain
roie zar-zar kya, kijie haye-haye kyun

Parde ishq ho chuka daagh yeh hi qarar tha
Sabr pe aah aah kya zapt pe haye haye kyun

-----------------------------------------------------
Dil hi to Hai na Sang o Khisht
Mirza Asadullah Khan Ghalib (27 December 1797 – 15 February 1869)

dil hi to hai na sang-o-khisht dard se bhar na aye kyun
roenge ham hazar bar koi hamein sataye kyun

dair nahi haram nahi dar nahi astan nahi
baithe hain rahguzar pe ham gair hamein uthaye kyun

jab wo jamal-e-dilfaroz, surat-e-mahr-e-nimaroz
ap hi ho nazrasoz, parde mein munh chupaye kyun

dashna-e-gamza jansitan, nawak-e-naz bepanah
tera hi aks-e-rukh sahi, samane tere aye kyun

qaid-e-hayat-o-band-e-gam asl mein donon ek hain
maut se pahle admi gam se najat paye kyun

husn aur us pe husn-e-zan rah gai bulahawas ki sharm
apne pe etimad hai gair ko azamaye kyun

wan wo guroor-e-izz-o-naz yan ye hijab-e-pas waza
rah mein ham milen kahan, bazm mein wo bulayen kyun

han wo nahi khudaparast, jao wo bewafa sahi
jisko ho din-o-dil aziz, us ki gali mein jaye kyun

"ghalib"-e-khasta k bagair kaun se kam band hain
roie zar-zar kya, kijie haye-haye kyun

--------------------------

Daagh: Nawab Mirza Khan (1831–1905)

Dil Hi To Hai Na Aaye Kyun Dam Hi To Hai Na Jaaye Kyun
Ham Ko Khuda Jo Sabr De Tujh Sa Haseen Banaaye Kyun

Go Nahin Bandagi Qubool Par Tera Aastaan To Hai
Qaaba-O-Dair Mein Hai Kya, Khaakh Koi Udaaye Kyun

Log Ho Ya Lagaav Ho Kuch Bhi Na Ho To Kuch Nahin
Ban Ke Farishta Aadmi Bazm-E-Jahaan Mein Aaye Kyun

Jur’rat-E-Shauq Phir Kahaan Waqt Hi Jab Nikal Gaya
Ab To Hain Yeh Nidamatein Sabr Kiya Tha Haaye Kyun

Rone Pe Woh Mere Hanse Ranj Pe Mere Shaad Hon
Chhed Mein Kuchh To Hai Mazaa Warna Koi Sataaye Kyun

No comments: