Once in while I like to post something that I enjoy and does not really have anything to do with sufiana kalam. Though it is truly beautiful in its complete form, the poem is rarely sung in its entirety.
dil mein ek lehr si uThi hai abhi
koi taaza hawa chali hai abhi
shor barpa hai Khaana-e-dil mein
koi deewär si giri hai abhi
kuch to naazuk mizaaj hain hum bhi
aur ye choT bhi nayi hai abhi
bhari duniya mein dil nahi lagta
jaanay kis cheez ki kami hai abhi
tu shareek-e-sukhan nahi to kya
hum-sukhan teri khämoshi hai abhi
yaad k be-nishaaN jazeeroN se
teri aawäz aa rahi hai abhi
shehr ki be-chiraagh galiyoN mein
zindagi tujh ko Dhoondti hai abhi
so gaye log us haveli kay
ek khiRki magar khuli hai abhi
tum to yaaro abhi se uTh baithay
shehr mein raat jaagti hai abhi
waqt achha bhi aaye ga Nasir
gham na kar zindagi paRi hai abhi
Poet: Nasir Kazmi, Singer: Tasawur Khanum
-----------------------------------------------------------------------------------------------------------------
دل میں ایک لہر سی اُٹھی ہے ابھی
کوئی تازہ ہوا چلی ہے ابھی
شور برپا ہے خانۂ دِل میں
کوئی دیوار سی گِری ہے ابھی
کچھ تو نازُک مِزاج ہیں ہم بھی
اور یہ چوٹ بھی نئی ہے ابھی
بھری دُنیا میں دِل نہیں لگتا
جانے کِس چیز کی کمی ہے ابھی
تُو شریکِ سُخن نہیں تو کیا
ہم سُخن تیری خامُشی ہے ابھی
یاد کے بے نِشاں جزیروں سے
تیری آواز آرہی ہے ابھی
شہر کی بے چراغ گلیوں میں
زندگی تجھ کو ڈھونڈتی ہے ابھی
سوگئے لوگ اُس حویلی کے
ایک کھِڑکی مگر کھُلی ہے ابھی
تم تو یارو! ابھی سے اُٹھ بیٹھے
شہر میں رات جاگتی ہے ابھی
وقت اچھا بھی آئے گا ناصرؔ
غم نہ کر زندگی پڑی ہے ابھی
No comments:
Post a Comment