Kabhi kaha na kisi se teray fasaane ko
Na jaane kaisey khabar ho gayee zamanay ko
Chaman main barq naheen chodati kisi soorat
Tarah tarah se banata hoon aashiyanay ko
Sunaa hai ghair ki mehfil main tum na jao gey
Kaho to aaj sajaa loon ghareeb-khanay ko
Dua bahaar ki maangee to itanay phool khilay
Kaheen jagah na mili mere aashiyanay ko
Chaman main jana to sayyaad dekh kar jana
Akela chord kar aaya hoon aashiyanay ko
Meri lahad pe patanngon kaa khoon hotaa hai
Huzoor shamma na laayaa karein jalanay ko
Dabaa ke chal diye sab qabr main, duaa na salaam
Zaraa see der mein kya ho gaya zamanay ko
Qamar zara bhi nahin tum ko khauf e rusvayii
Chaley ho chandi shab mein unhein bulanein ko
~ Qamar Jalalvi
No comments:
Post a Comment